Saturday, June 26, 2010
Dua Maula Dil Badal Day..........
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal day Mera rasta dil badal day
Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal day
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day
Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal day
Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Dilay magmoom ko masroor karday
Dil-e-be noor ko purnoor karday
Faroza dil mein sham-e-toor karday
Yay gosha noor say ma�moor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Hay meri ghaat mein khud nafs mera
Khudaya isko dey maqdoor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Ma-e-wahdat Pila maqmoor karday
Mohabbat k nashay main choor karday
Mera zahir sanwar jaaye Ilaahi
Meray baatin ki zulmat door karday
Friday, June 25, 2010
Kaabe ke Rawnaq
Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhon tu dekhe jaon barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane kaano mein russ gholtee hein Azaane
Bas ik sadaa aarahi he baraabar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Tere haram ki kya baat Mawla tere karam ki kya baat Mawla
Ta umar karde aana muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Maangi hein mein ne jitnee duae manzoor hongi maqbool hongi
Meezab-e-Rehmat he mere sar par
Allahu Akbar Allahu Akbar
Yaad agaye jab apni khataye ashkon mein dhalne lagee iltijaye
Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne chuuma he tujhko khud Mustafa ne
E sung-e-Aswad tera muqqadar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Mawla sabhi aur kya chahta he bas maghfirat ki ataa chahta he
Bakhshish ke talib pe apna karam kar
Dekhon tu dekhe jaon barabar
Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane kaano mein russ gholtee hein Azaane
Bas ik sadaa aarahi he baraabar
Tere haram ki kya baat Mawla tere karam ki kya baat Mawla
Ta umar karde aana muqaddar
Maangi hein mein ne jitnee duae manzoor hongi maqbool hongi
Meezab-e-Rehmat he mere sar par
Yaad agaye jab apni khataye ashkon mein dhalne lagee iltijaye
Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar
Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne chuuma he tujhko khud Mustafa ne
E sung-e-Aswad tera muqqadar
Mawla sabhi aur kya chahta he bas maghfirat ki ataa chahta he
Bakhshish ke talib pe apna karam kar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Lyrics of Naat
KYOUN KAR NA MERE DIL MEIN HO ULFAT RASOOL (S.A.W.W) Ki
Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki
Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki
Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki
Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki
Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki
Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki
Damen mein Un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki
To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki
Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki(Sallalahu Alaihe Wassalam)
Zameen Maili Nahin Hoti, Zaman Maila Nahin Hota Lyrics
Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.
Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.
Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar Lyrics
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay.
Hum Madinay mein tanha nikal jayengey,
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey.
Hum wahan jakey wapas nahin ayengay.
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey.
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega,
Bandagi ka kareena badal jaye ga.
Sar jhukane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey.
Naam e Aaka jahan bhi liya jayega,
Zikr unka jahan bhi kiya jayega.
Noor hi noor seeno mein bhar jayega,
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey.
Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye,
Dastaan e safar mujko yoon mat suna.
Baat bhar jayegi dil tarap jayega,
Meray mohtat ansoo chalak jayegay.
Unki chashme karam ko hai iski khabar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar.
Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney.
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey .