Tuesday, July 6, 2010

Aaqa Aaqa bol bande

Aaqa Aaqa bol bande Aaqa Aaqa bol
Zikr Nabi tu karta jaa ye zikr bara anmol

Aisa din bhi aajaye Sarkar ke Darr pe betthe ho
Lab khamosh zubaan ban ja-e aansu arza karte ho
Unke Darr pe rone waale, dil se kucch to bolol

Sarkar e do Alam pyaare Aaqa jidhar se guzra karte the
Shajr gawaahi daita tha or patthar Kalima parte the
Noor e khuda ke munkir ab to, apni aankhe khol

Aao chalo deewano saare Shehr e Madinah chalte hein
Meri kya oqaat he sab hi unke dar se palte hein
Ghairon ko bhi daite hein, bin maange bin mol

Jab se hosh sambaala he mein unki Naatein parta huun
Gustaaki na ho ja-e mein sambal sambal ke chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

Rashid Naatein likhna parna ye he bara ihsan
Unke karam ke sadqe hii se unchi he parwan
Naat e Nabi tu suna-e ja, kaano mein rasghol

Aaqa Aaqa bol bande Aaqa Aaqa bol

No comments:

Post a Comment