Tuesday, July 6, 2010

Madinay ka safar hai

Madinay ka safar hai aur mein namdeedah namdeedah
jabeen afsurdah afsurdah qadam laghzeedah laghzeedah


Chala hoon aik mujrim ki tarah mein jaanib e Taiba
nazar sharmindah sharmindah badan larzeedah larzeedah


Kissi kay haath ne mujh ko sahaara day diya warna
kahaan mein aur kahaan yeh raastay pecheedah pecheedah

Kahaan main aur kahaan us rawza e aqdas ka nazaarah
nazar us simt uth-tee hai magar duzdeedah duzdeedah


Ghulaamaan e Muhammad door se paichaanay jaate hein
Dil e girzeedah girzeedah sar e shoreedah shoreedah

Madinay jaa kar hum samajhe taqaddus kis ko kehte hein
Havaa paakeezah paakeezah fazaa sanjeedah sanjeedah


Basaarat kho gayee lekin baseerat tau salaamat hai
Madinah hum ne dekha hai magar nadeedah nadeedah


Vohi Iqbal jis ko naaz tha kal khush-mizaaji par
Firaaq e taiba mein rehtaa hai ab ranjeedah ranjeedah

No comments:

Post a Comment