Tuesday, July 6, 2010

Mein Madine chala, mein Madine chala


Mein Madine chala, mein Madine chala
Phir karam hogaya, mein Madine chala
Saaqiya mein pilaa, mein Madine chala
Masto be khud bana, mein Madine chala
Kaif-sa chaa gaya, mein Madine chala
Jhoomta jhoomta, mein Madine chala
Kya bata-o mili, dil ko kaisi kushi
Jab ye muzda suna, mein Madine chala
Muskuraane lagi, mere dil ki gali
Guncha guncha khila, mein Madine chala
Phir ijaazat mili, jab khabar ye suni
Dil mera jhoomta, mein Madine chala
Ashke thamte nahi, payon jamte nahi
Lad khadaata huwa, mein Madine chala
Mere gande qadam, aur Unka Haram
Laaj rakhna Khuda, mein Madine chala
Ay shajar ay hajar, tum bi shamso qamar
Dheko dheko zara, mein Madine chala
Dekh taray mujhe, ye nazare mujhe
Tum bi dheko zara, mein Madine chala
Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar
Itni jaldi hi kya, mein Madine chala
Haath uthte rahe, mujh ko dete rahe
Woh talab se siwaa, mein Madine chala
Mere Aqa ka ghar, ho ga peshe nazar
Chaahiye aur kya, mein Madine chala
Mere Siddique Umar, ho salaam aap par
Aur rehmat saada, mein Madine chala
Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makeen
Mere Hamza piyaa, mein Madine chala
Ghumbade sabz par, jab peshe nazar
Kya suroor aayega, mein Madine chala
Unke Minaar par, jab pare gi nazar
Kya suroor aayega, mein Madine chala
Mustafa ke Huzoor, apne sare qusoor
Baksh wane chala, mein Madine chala
Kya karega idhar, baandh raste safar
Chal Ubaid-e Raza, mein Madine chala
Kya he tune kaha, ai Ubaid-e Raza
Sonch to kuch zara, mein Madine chala
Lutf to jab mile, mere Murshid kahe

Chal Ubaid-e Raza, mein Madine chala


1 comment: