Mein Madine chala, mein Madine chala Phir karam hogaya, mein Madine chala Saaqiya mein pilaa, mein Madine chala Masto be khud bana, mein Madine chala Kaif-sa chaa gaya, mein Madine chala Jhoomta jhoomta, mein Madine chala Kya bata-o mili, dil ko kaisi kushi Jab ye muzda suna, mein Madine chala Muskuraane lagi, mere dil ki gali Guncha guncha khila, mein Madine chala Phir ijaazat mili, jab khabar ye suni Dil mera jhoomta, mein Madine chala Ashke thamte nahi, payon jamte nahi Lad khadaata huwa, mein Madine chala Mere gande qadam, aur Unka Haram Laaj rakhna Khuda, mein Madine chala Ay shajar ay hajar, tum bi shamso qamar Dheko dheko zara, mein Madine chala Dekh taray mujhe, ye nazare mujhe Tum bi dheko zara, mein Madine chala Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar Itni jaldi hi kya, mein Madine chala Haath uthte rahe, mujh ko dete rahe Woh talab se siwaa, mein Madine chala Mere Aqa ka ghar, ho ga peshe nazar Chaahiye aur kya, mein Madine chala Mere Siddique Umar, ho salaam aap par Aur rehmat saada, mein Madine chala Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makeen Mere Hamza piyaa, mein Madine chala Ghumbade sabz par, jab peshe nazar Kya suroor aayega, mein Madine chala Unke Minaar par, jab pare gi nazar Kya suroor aayega, mein Madine chala Mustafa ke Huzoor, apne sare qusoor Baksh wane chala, mein Madine chala Kya karega idhar, baandh raste safar Chal Ubaid-e Raza, mein Madine chala Kya he tune kaha, ai Ubaid-e Raza Sonch to kuch zara, mein Madine chala Lutf to jab mile, mere Murshid kahe Chal Ubaid-e Raza, mein Madine chala
|